2 October ka sauda

Picture1

Bik rahi topi, bik rahi ghadi,
Magar garv se utha woh sar
Aur inquilaab ka woh waqt
Kaise khareedoge?

Bik rahe chashme, bik rahe joote,
Magar woh nazar,
Aur tez badhte kadam
Kaise khareedoge?

Bik rahe charkhe, bik rahi khaadi,
Magar saadgi ke woh reshe,
Aur goliyaan nigalta woh seena,
Kaise khareedoge?

Bik rahi chitthiyaan, bik rahe kalam
Magar ilm ke woh samandar
Aur khoon ki woh syaahi
Kaise khareedoge?

Har saal bhale aati hai,
Magar 2 October ka sauda itna aasaan nahin.
Muft bhale mili hai,
Magar aazaadi ki yeh khairaat itni sasti nahin.

Khoon ke daam chukaane honge
Zindagi ke daav lagaane honge

Kai ghaav see chuke, ab kitne zakhm aur khuredoge?
Kai sawaal pii chuke, ab kitne jawaab aur nigloge?

Bik rahe Gandhi ke khwaab,
Magar woh khayaalaat kaise khareedoge?

3 Comments

  1. On a very emotional note..
    yes its strange but very true..
    We have forgotten those hardships that those guys have faced…
    And we actually don’t value our freedom today.. because we have got it for free.. and didn’t have to earn it!

    As usual, a nice poem Prakash.. Touched! 🙂

    Like

Leave a comment