Ek peela patta bankar,
Chamak raha hoon darakht par.
Roz subah chehre par kesar lepe,
Kabhi hawaaon ko rijhaata,
To kabhi ghaas se oss churaata.
Dopahar ko jab kaam se oob jaata,
To akele-akele gusse mein ghurraata:
Roz wohi kaam karo, fir jai-jai Ram karo.
Mein agar din ka postman –
Ghar-ghar ujaale ki chitthi pahuchaata,
To Chaand raat ka watchman –
Ghar-ghar neend ki khairaat udaata.
‘Routine’ ke jaal mein fasse hain dono,
Hamein bhi to zara ‘break’ mile.
Yeh eclipse ka ‘weekend’ kab hai?
Advertisements