Syaahi ka safar

Abr ki aagosh mein simatkar ek seher chali,
Lafzo ke hijaab mein syaahi ki ek leher chali.

Baadal garajte hai aasmaan ke khwaabon mein,
Lafs cheekhte hai jaise granth-o-kitaabo mein.

Is jaanib, mein kitaabo mein jo dooba, to magroor huaa,
Aasmaa ke safar mein udaa, zameen se door hua.

Us taraf abr ke peeche chupi kitaabo mein tay mera naseeb huaa,
Kabr ki mitti mein jo mila, to aasmaa ke kareeb huaa.

 

* abr: dark cloud, aagosh: embrace, ilm: knowledge, lafs: word, alfaaz: letters of a word, jaanib: side, magroor: proud

Leave a comment